dost jab dil sa aashna hi nahin | दोस्त जब दिल सा आश्ना ही नहीं - Aish Dehlvi

dost jab dil sa aashna hi nahin
ab humein gair ka gila hi nahin

jis ka dil dard-aashna hi nahin
us ke jeene ka kuch maza hi nahin

ek dam hum se vo juda hi nahin
gar juda ho to vo khuda hi nahin

aashnaai pe us ki mat jaana
le ke dil phir vo aashna hi nahin

khaak chaani jahaan ki lekin
dil-e-gum-gashta ka pata hi nahin

laakh maashooq hain jahaan mein magar
aah vo naaz vo ada hi nahin

sai-e-be-faaida hai chaaragaro
marz-e-ishq ki dava hi nahin

dard-e-dil un se hum kaha hi kiye
par unhon ne kabhi suna hi nahin

sar firaata hai kyun abas naaseh
mera kehne mein dil raha hi nahin

ab vo aaye to aayein kya haasil
taqat-e-arz-e-muddaa hi nahin

main to kya gosh-e-charkh ne bhi aish
aisa bedaad-gar suna hi nahin

दोस्त जब दिल सा आश्ना ही नहीं
अब हमें ग़ैर का गिला ही नहीं

जिस का दिल दर्द-आश्ना ही नहीं
उस के जीने का कुछ मज़ा ही नहीं

एक दम हम से वो जुदा ही नहीं
गर जुदा हो तो वो ख़ुदा ही नहीं

आश्नाई पे उस की मत जाना
ले के दिल फिर वो आश्ना ही नहीं

ख़ाक छानी जहान की लेकिन
दिल-ए-गुम-गश्ता का पता ही नहीं

लाख माशूक़ हैं जहाँ में मगर
आह वो नाज़ वो अदा ही नहीं

सई-ए-बे-फ़ाएदा है चारागरो
मरज़-ए-इश्क़ की दवा ही नहीं

दर्द-ए-दिल उन से हम कहा ही किए
पर उन्हों ने कभी सुना ही नहीं

सर फिराता है क्यूँ अबस नासेह
मेरा कहने में दिल रहा ही नहीं

अब वो आए तो आएँ क्या हासिल
ताक़त-ए-अर्ज़-ए-मुद्दआ ही नहीं

मैं तो क्या गोश-ए-चर्ख़ ने भी 'ऐश'
ऐसा बेदाद-गर सुना ही नहीं

- Aish Dehlvi
0 Likes

Dosti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aish Dehlvi

As you were reading Shayari by Aish Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Aish Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Dosti Shayari Shayari