phool allah ne banaaye hain mahakne ke liye
aur bulbul ko banaya hai chahakne ke liye
aatish-e-gham se banaya hai mere seene mein
dil ko angaare ki maanind dahakne ke liye
bache kam-bakht vo dil kyunki bhala jis dil ke
mustaid ho nigaah-e-shokh uchkane ke liye
rind kahte hain ki khaaliq ne kiya hai paida
raat din naaseh-e-behooda ko bakne ke liye
rehm ai chashm banaya hai kahi kya dil ko
qatra-e-ashk ho mizgaan se tapkane ke liye
shaikh ko rindon se kah do ki nazar mein rakhen
kyunki ab dhunde hai qaabu vo khiskne ke liye
aish batla to bana hai dil-e-hairaan tera
misl-e-aaina ye kis shakl ke takne ke liye
फूल अल्लाह ने बनाए हैं महकने के लिए
और बुलबुल को बनाया है चहकने के लिए
आतिश-ए-ग़म से बनाया है मिरे सीने में
दिल को अँगारे की मानिंद दहकने के लिए
बचे कम-बख़्त वो दिल क्यूँकि भला जिस दिल के
मुस्तइद हो निगह-ए-शोख़ उचकने के लिए
रिंद कहते हैं कि ख़ालिक़ ने किया है पैदा
रात दिन नासेह-ए-बेहूदा को बकने के लिए
रहम ऐ चश्म बनाया है कहीं क्या दिल को
क़तरा-ए-अश्क हो मिज़्गाँ से टपकने के लिए
शैख़ को रिंदों से कह दो कि नज़र में रक्खें
क्यूँकि अब ढूँडे है क़ाबू वो खिसकने के लिए
'ऐश' बतला तो बना है दिल-ए-हैराँ तेरा
मिस्ल-ए-आईना ये किस शक्ल के तकने के लिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aish Dehlvi
our suggestion based on Aish Dehlvi
As you were reading Miscellaneous Shayari