tu hi insaaf se kah jis ka khafa yaar rahe | तू ही इंसाफ़ से कह जिस का ख़फ़ा यार रहे - Aish Dehlvi

tu hi insaaf se kah jis ka khafa yaar rahe
apne jeene se na kis tarah vo be-zaar rahe

zakhm-e-dil chheele kabhi aur kabhi zakham-e-jigar
nakhun-e-dast-e-junoon kab mere be-kaar rahe

in jafaon ka maza tum ko chakha devenge
haan agar zinda hum ai charkh-e-jafakaar rahe

may-kade mein hai badi ye hi mugaan ki peeri
ki bas us chashm-e-siyah-mast se hushyaar rahe

jalte bhunte rahe hum bazm-e-butaan mein lekin
sham'a saan us pe bhi sar dene ko taiyyaar rahe

yun to kya khwaab mein bhi yaar ka milna maaloom
apne gar aah yahi taala-e-bedaar rahe

ek ja seene mein un dono ka rahna hai muhaal
ya ye dil hi rahe ya aah-e-sharar-baar rahe

us se dil khaak ho ummeed-e-husool-e-matlub
jis se ik bose pe sau tarah ki takraar rahe

le ke paikaan se tire teer bata to qaateel
khoon mein doobe nahin kab ta lab-e-sofaar rahe

jins-e-dil aatish-e-ulfat mein jale jo chahe
par kisi tarah tiri garmi-e-baazaar rahe

baazi-e-ishq mein chipke raho kya khaak kahein
ek dil rakhte the paas apne so baar rahe

aisa dam naak mein aaya hai ki hum raazi hain
aish gar seene mein is dil ke evaz khaar rahe

तू ही इंसाफ़ से कह जिस का ख़फ़ा यार रहे
अपने जीने से न किस तरह वो बे-ज़ार रहे

ज़ख़्म-ए-दिल छीले कभी और कभी ज़ख़्म-ए-जिगर
नाख़ुन-ए-दस्त-ए-जुनूँ कब मिरे बे-कार रहे

इन जफ़ाओं का मज़ा तुम को चखा देवेंगे
हाँ अगर ज़िंदा हम ऐ चर्ख़-ए-जफ़ाकार रहे

मय-कदे में है बड़ी ये ही मुग़ाँ की पीरी
कि बस उस चश्म-ए-सियह-मस्त से हुश्यार रहे

जलते भुनते रहे हम बज़्म-ए-बुताँ में लेकिन
शम्अ साँ उस पे भी सर देने को तय्यार रहे

यूँ तो क्या ख़्वाब में भी यार का मिलना मालूम
अपने गर आह यही ताला-ए-बेदार रहे

एक जा सीने में उन दोनों का रहना है मुहाल
या ये दिल ही रहे या आह-ए-शरर-बार रहे

उस से दिल ख़ाक हो उम्मीद-ए-हुसूल-ए-मतलब
जिस से इक बोसे पे सौ तरह की तकरार रहे

ले के पैकाँ से तिरे तीर बता तो क़ातिल
ख़ून में डूबे नहीं कब ता लब-ए-सोफ़ार रहे

जिंस-ए-दिल आतिश-ए-उल्फ़त में जले जो चाहे
पर किसी तरह तिरी गर्मी-ए-बाज़ार रहे

बाज़ी-ए-इश्क़ में चिपके रहो क्या ख़ाक कहें
एक दिल रखते थे पास अपने सो बार रहे

ऐसा दम नाक में आया है कि हम राज़ी हैं
'ऐश' गर सीने में इस दिल के एवज़ ख़ार रहे

- Aish Dehlvi
0 Likes

Narazgi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aish Dehlvi

As you were reading Shayari by Aish Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Aish Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Narazgi Shayari Shayari