jis dil mein tiri zulf ka sauda nahin hota | जिस दिल में तिरी ज़ुल्फ़ का सौदा नहीं होता - Aish Dehlvi

jis dil mein tiri zulf ka sauda nahin hota
vo dil nahin hota nahin hota nahin hota

aashiq jise kahte hain vo paida nahin hota
aur hoye bhi bil-farz to mujh sa nahin hota

jo kushta-e-tegh-e-nigah-e-yaar hain un par
kuch kaargar ejaz-e-masiha nahin hota

maana ki sitam karte hain ma'shooq magar aap
jo mujh pe rawa rakhte hain aisa nahin hota

jo mast hai saaqi nigaah-e-mast ka vo tu
minnat-kash-e-jaam-o-may-o-meena nahin hota

kehta hai koi shola-e-jawwaala koi barq
is dil pe gumaan logon ko kya kya nahin hota

zaahid ho do-chaar-e-nigah-e-mast to dekhen
aalooda baa-may kyunki musalla nahin hota

haan kuch to bayaan-e-hawas-e-dil mein hai lazzat
jo lab se juda harf-e-tamanna nahin hota

taskin-e-dil-e-sokhta-e-sham'a ki khaatir
kis shab par-e-parwaana se pankha nahin hota

dil ishq ne itna bhi na chhodaa ki jo kahein
taqseem juz-e-la-yatjajjza nahin hota

de baithe ho dil aish tum un logon ko jin ki
bedaad ka waan bhi koi shunwa nahin hota

जिस दिल में तिरी ज़ुल्फ़ का सौदा नहीं होता
वो दिल नहीं होता नहीं होता नहीं होता

आशिक़ जिसे कहते हैं वो पैदा नहीं होता
और होए भी बिल-फ़र्ज़ तो मुझ सा नहीं होता

जो कुश्ता-ए-तेग़-ए-निगह-ए-यार हैं उन पर
कुछ कारगर एजाज़-ए-मसीहा नहीं होता

माना कि सितम करते हैं मा'शूक़ मगर आप
जो मुझ पे रवा रखते हैं ऐसा नहीं होता

जो मस्त है साक़ी निगह-ए-मस्त का वो तू
मिन्नत-कश-ए-जाम-ओ-मय-ओ-मीना नहीं होता

कहता है कोई शोला-ए-जव्वाला कोई बर्क़
इस दिल पे गुमाँ लोगों को क्या क्या नहीं होता

ज़ाहिद हो दो-चार-ए-निगाह-ए-मस्त तो देखें
आलूदा बा-मय क्यूँकि मुसल्ला नहीं होता

हाँ कुछ तो बयान-ए-हवस-ए-दिल में है लज़्ज़त
जो लब से जुदा हर्फ़-ए-तमन्ना नहीं होता

तस्कीन-ए-दिल-ए-सोख़्ता-ए-शम्अ' की ख़ातिर
किस शब पर-ए-परवाना से पंखा नहीं होता

दिल इश्क़ ने इतना भी न छोड़ा कि जो कहवें
तक़्सीम जुज़-ए-ला-यतजज्ज़ा नहीं होता

दे बैठे हो दिल 'ऐश' तुम उन लोगों को जिन की
बेदाद का वाँ भी कोई शुन्वा नहीं होता

- Aish Dehlvi
0 Likes

Maikada Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aish Dehlvi

As you were reading Shayari by Aish Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Aish Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Maikada Shayari Shayari