na chhodi gham ne mere ik jigar mein khoon ki boond | न छोड़ी ग़म ने मिरे इक जिगर में ख़ून की बूँद - Aish Dehlvi

na chhodi gham ne mere ik jigar mein khoon ki boond
kahaan se ashk ka ho kahiye chashm-e-tar mein asar

ho us ke saath ye be-iltifaati-e-gul kyun
jo andaleeb ke ho naala-e-seher mein asar

kisi ka qaul hai sach sang ko kare hai mom
rakha hai khaas khuda ne ye seem o zar mein asar

jo aah ne falak-e-peer ko hila daala
to aap hi kahiye ki haiga ye kis asar mein asar

jo dekh le to jahannam ki phere bandh jaaye
hai meri aah ke vo ek ik sharar mein asar

bigaadein charkh se hum aish kis bharose par
na aah mein hai na soz-e-dil-o-jigar mein asar

न छोड़ी ग़म ने मिरे इक जिगर में ख़ून की बूँद
कहाँ से अश्क का हो कहिए चश्म-ए-तर में असर

हो उस के साथ ये बे-इल्तिफ़ाती-ए-गुल क्यूँ
जो अंदलीब के हो नाला-ए-सहर में असर

किसी का क़ौल है सच संग को करे है मोम
रक्खा है ख़ास ख़ुदा ने ये सीम ओ ज़र में असर

जो आह ने फ़लक-ए-पीर को हिला डाला
तो आप ही कहिए कि हैगा ये किस असर में असर

जो देख ले तो जहन्नम की फेरे बंध जाए
है मेरी आह के वो एक इक शरर में असर

बिगाड़ें चर्ख़ से हम 'ऐश' किस भरोसे पर
न आह में है न सोज़-ए-दिल-ओ-जिगर में असर

- Aish Dehlvi
0 Likes

Afsos Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aish Dehlvi

As you were reading Shayari by Aish Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Aish Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Afsos Shayari Shayari