kisi ki nek ho ya bad jahaan mein khoo nahin chhupti | किसी की नेक हो या बद जहाँ में ख़ू नहीं छुपती - Aish Dehlvi

kisi ki nek ho ya bad jahaan mein khoo nahin chhupti
chhupaaye laakh khushboo ya koi badboo nahin chhupti

zabaan par jab talak aati nahin albatta chhupti hai
zabaan par jab ki aayi baat ai gul-roo nahin chhupti

yahan to tujh ko sau parde lage hain ahl-e-taqwa se
bhala rindon se kyun ai dukhtar-e-raz tu nahin chhupti

saleeqa kya kare is mein koi betaabi-e-jaan ko
chhupao sau tarah jab dil ho be-qaboo nahin chhupti

hijaab us mein kahaan hai be-hijaabi jis ki aadat ho
chhupa kar laakh piwe gar koi daaru nahin chhupti

rukh-e-raushan ko tum kyun chhod kar zulfen chhupaate ho
chamak rukh ki chhupaaye se tah-e-gesoo nahin chhupti

ye reesh o jubba o dastaar zaahid ki banaavat hai
tabeeyat be-takalluf jis ki ho yaksu nahin chhupti

kalaam apna abas tu ahl-e-danish se chhupata hai
jahaan mein aish tarz-e-shair-e-khush-go nahin chhupti

किसी की नेक हो या बद जहाँ में ख़ू नहीं छुपती
छुपाए लाख ख़ुशबू या कोई बदबू नहीं छुपती

ज़बाँ पर जब तलक आती नहीं अलबत्ता छुपती है
ज़बाँ पर जब कि आई बात ऐ गुल-रू नहीं छुपती

यहाँ तो तुझ को सौ पर्दे लगे हैं अहल-ए-तक़्वा से
भला रिंदों से क्यूँ ऐ दुख़्तर-ए-रज़ तू नहीं छुपती

सलीक़ा क्या करे इस में कोई बेताबी-ए-जाँ को
छुपाओ सौ तरह जब दिल हो बे-क़ाबू नहीं छुपती

हिजाब उस में कहाँ है बे-हिजाबी जिस की आदत हो
छुपा कर लाख पीवे गर कोई दारू नहीं छुपती

रुख़-ए-रौशन को तुम क्यूँ छोड़ कर ज़ुल्फ़ें छुपाते हो
चमक रुख़ की छुपाए से तह-ए-गेसू नहीं छुपती

ये रीश ओ जुब्बा ओ दस्तार ज़ाहिद की बनावट है
तबीअत बे-तकल्लुफ़ जिस की हो यकसू नहीं छुपती

कलाम अपना अबस तू अहल-ए-दानिश से छुपाता है
जहाँ में 'ऐश' तर्ज़-ए-शाइर-ए-ख़ुश-गो नहीं छुपती

- Aish Dehlvi
0 Likes

Urdu Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aish Dehlvi

As you were reading Shayari by Aish Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Aish Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Urdu Shayari Shayari