shor ab aalam mein hai us shobda-pardaaz ka | शोर अब आलम में है उस शोबदा-पर्दाज़ का - Aish Dehlvi

shor ab aalam mein hai us shobda-pardaaz ka
charkh bhi ik shobda hai jis saraapa naaz ka

saada-rooi qahar thi aur us pe ab aaya hai khat
dekhiye anjaam kya hota hai is aaghaaz ka

teer hove jis ki mizgaan aur ho abroo kamaan
dil na ho qurbaan kyun kar aise teer-andaaz ka

us ke shaheen-e-nigaah ko taair-e-dil ke liye
panja-e-mizgaan nahin goya hai chungul-baaz ka

aish mujh ko be-par-o-baali par-e-parwaaz hai
main nahin mohtaaj kuch baal-o-par-e-parvaaz ka

शोर अब आलम में है उस शोबदा-पर्दाज़ का
चर्ख़ भी इक शोबदा है जिस सरापा नाज़ का

सादा-रूई क़हर थी और उस पे अब आया है ख़त
देखिए अंजाम क्या होता है इस आग़ाज़ का

तीर होवे जिस की मिज़्गाँ और हो अबरू कमाँ
दिल न हो क़ुर्बान क्यूँ कर ऐसे तीर-अंदाज़ का

उस के शाहीन-ए-निगह को ताइर-ए-दिल के लिए
पंजा-ए-मिज़्गाँ नहीं गोया है चुंगुल-बाज़ का

'ऐश' मुझ को बे-पर-ओ-बाली पर-ए-परवाज़ है
मैं नहीं मोहताज कुछ बाल-ओ-पर-ए-परवाज़ का

- Aish Dehlvi
0 Likes

Anjam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aish Dehlvi

As you were reading Shayari by Aish Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Aish Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Anjam Shayari Shayari