fira kisi ka ilaahi kisi se yaar na ho | फिरा किसी का इलाही किसी से यार न हो - Aish Dehlvi

fira kisi ka ilaahi kisi se yaar na ho
koi jahaan mein bargashta-e-rozgaar na ho

hum us ki chashm-e-siyah-mast ke hain mastaane
ye vo nashe hain ki jis ka kabhi utaar na ho

jahaan mein koi kehta nahin khuda-lagti
vo kya kare jise dil par bhi ikhtiyaar na ho

na faade daaman-e-sehra ko kyun ki dast-e-junoon
raha jab apne garebaan mein ek taar na ho

na khel jaan par apni tu ai dil-e-naadaan
khuda ko yaad kar itna tu be-qaraar na ho

na bhool zohad pe lazzat se bakhshish-e-haq ki
vo be-naseeb hai jab tak gunaahgaar na ho

tumhaare sar ki qasam kha ke dard dil ka kahoon
jo mere likhne ka yun tum ko e'tibaar na ho

janaab-e-sheikh jee saahib main ek arz karoon
agar mizaaj-e-muqaddas pe naagawaar na ho

janab rindon se milte to hain pe dar hai mujhe
ki dushmanon ka kisi din wahan achaar na ho

bahut hai khema-e-gardoon ke phoonkne ko to aish
is aah-e-tufta jigar mein asar hazaar na ho

फिरा किसी का इलाही किसी से यार न हो
कोई जहान में बरगश्ता-ए-रोज़गार न हो

हम उस की चश्म-ए-सियह-मस्त के हैं मस्ताने
ये वो नशे हैं कि जिस का कभी उतार न हो

जहान में कोई कहता नहीं ख़ुदा-लगती
वो क्या करे जिसे दिल पर भी इख़्तियार न हो

न फाड़े दामन-ए-सहरा को क्यूँ कि दस्त-ए-जुनूँ
रहा जब अपने गरेबाँ में एक तार न हो

न खेल जान पर अपनी तू ऐ दिल-ए-नादाँ
ख़ुदा को याद कर इतना तू बे-क़रार न हो

न भूल ज़ोहद पे लज़्ज़त से बख़्शिश-ए-हक़ की
वो बे-नसीब है जब तक गुनाहगार न हो

तुम्हारे सर की क़सम खा के दर्द दिल का कहूँ
जो मेरे लिखने का यूँ तुम को ए'तिबार न हो

जनाब-ए-शैख़ जी साहिब मैं एक अर्ज़ करूँ
अगर मिज़ाज-ए-मुक़द्दस पे नागवार न हो

जनाब रिंदों से मिलते तो हैं पे डर है मुझे
कि दुश्मनों का किसी दिन वहाँ अचार न हो

बहुत है ख़ेमा-ए-गर्दूं के फूँकने को तो 'ऐश'
इस आह-ए-तुफ़्ता जिगर में असर हज़ार न हो

- Aish Dehlvi
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aish Dehlvi

As you were reading Shayari by Aish Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Aish Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari