mera shikwa tiri mehfil mein adoo karte hain | मेरा शिकवा तिरी महफ़िल में अदू करते हैं

  - Aish Dehlvi

mera shikwa tiri mehfil mein adoo karte hain
us pe bhi sabr ham ai arbadajoo karte hain

mashq-e-bedad-o-sitam karte hain gar vo to yahan
ham bhi bedaad o sitam sahne ki khoo karte hain

jaan hui hai nigah-e-naam pe un ki aashiq
chaak dil taar-e-nazar se jo rafu karte hain

be-sabaati chaman-e-dehr ki hai jin pe khuli
havas-e-rang na vo khwaahish-e-boo karte hain

aaj shamsheer b-kaf nikle hain vo dekhiye tar
aab-e-shamsheer se kis kis ke guloo karte hain

hai rachi jin ke dimaagon mein tiri zulf ki boo
ambar o mushk ki kab boo ko vo boo karte hain

mushk o ambar ka unhen naam bhi lena hai nang
yaar ki zulf-e-moamber ko jo boo karte hain

chaak karte hain garebaan ko vehshat mein kabhi
chaak-e-dil mein kabhu nakhun ko faroo karte hain

dekh sauda-jaada-e-ulftat-e-khooban ai aish
waadi-e-ishq mein kya kya tag-o-poo karte hain

मेरा शिकवा तिरी महफ़िल में अदू करते हैं
उस पे भी सब्र हम ऐ अरबदा-जू करते हैं

मश्क़-ए-बेदाद-ओ-सितम करते हैं गर वो तो यहाँ
हम भी बेदाद ओ सितम सहने की ख़ू करते हैं

जाँ हुई है निगह-ए-नाम पे उन की आशिक़
चाक दिल तार-ए-नज़र से जो रफ़ू करते हैं

बे-सबाती चमन-ए-दहर की है जिन पे खुली
हवस-ए-रंग न वो ख़्वाहिश-ए-बू करते हैं

आज शमशीर ब-कफ़ निकले हैं वो देखिए तर
आब-ए-शमशीर से किस किस के गुलू करते हैं

है रची जिन के दिमाग़ों में तिरी ज़ुल्फ़ की बू
अम्बर ओ मुश्क की कब बू को वो बू करते हैं

मुश्क ओ अम्बर का उन्हें नाम भी लेना है नंग
यार की ज़ुल्फ़-ए-मोअम्बर को जो बू करते हैं

चाक करते हैं गरेबाँ को वहशत में कभी
चाक-ए-दिल में कभू नाख़ुन को फ़रू करते हैं

देख सौदा-जादा-ए-उल्फ़त-ए-ख़ूबाँ ऐ 'ऐश'
वादी-ए-इश्क़ में क्या क्या तग-ओ-पू करते हैं

  - Aish Dehlvi

Bhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aish Dehlvi

As you were reading Shayari by Aish Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Aish Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Bhai Shayari Shayari