kuch kam nahin hain sham'a se dil ki lagan mein hum | कुछ कम नहीं हैं शम्अ से दिल की लगन में हम - Aish Dehlvi

kuch kam nahin hain sham'a se dil ki lagan mein hum
faanoos mein vo jaltee hai yaa pairhan mein hum

hain tufta-jaan mubaarakat-e-gul-badan mein hum
aisa na ho ki aag laga den chaman mein hum

gum honge boo-e-zulf-e-shikan-dar-shikan mein hum
qabza karenge cheen ko le kar khutan mein hum

gar ye hi chhed dast-e-junoon ki rahi to bas
mar kar bhi seena chaak karenge kafan mein hum

mahv-e-khayaal-e-zulf-e-butan umr bhar rahe
mashhoor kyun na hon kaho deewana-pan mein hum

honge aziz khalk ki nazaron mein dekhna
gir kar bhi apne yaar ke chaah-e-zaqqan mein hum

chakke hi chhoot jaayenge ghairoon ke dekhna
aa nikle haan kabhi jo tiri anjuman mein hum

ai andaleeb daawa-e-behooda par kahi
ek aadh gul ka munh na masal den chaman mein hum

aashiq hue hain parda-nasheen par bas is liye
rakhte hain soz-e-ishq nihaan jaan o tan mein hum

zalim ki sach masal hai ki rassi daraaz hai
misdaaq us ka paate hain charkh-e-kuhan mein hum

anqa ka aish naam to hai go nishaan nahin
yaa vo bhi kho chuke hain talaash-e-dahan mein hum

कुछ कम नहीं हैं शम्अ से दिल की लगन में हम
फ़ानूस में वो जलती है याँ पैरहन में हम

हैं तुफ़्ता-जाँ मुफ़ारक़त-ए-गुल-बदन में हम
ऐसा न हो कि आग लगा दें चमन में हम

गुम होंगे बू-ए-ज़ुल्फ़-ए-शिकन-दर-शिकन में हम
क़ब्ज़ा करेंगे चीन को ले कर ख़ुतन में हम

गर ये ही छेड़ दस्त-ए-जुनूँ की रही तो बस
मर कर भी सीना चाक करेंगे कफ़न में हम

महव-ए-ख़याल-ए-ज़ुल्फ़-ए-बुताँ उम्र भर रहे
मशहूर क्यूँ न हों कहो दीवाना-पन में हम

होंगे अज़ीज़ ख़ल्क़ की नज़रों में देखना
गिर कर भी अपने यार के चाह-ए-ज़क़न में हम

छक्के ही छूट जाएँगे ग़ैरों के देखना
आ निकले हाँ कभी जो तिरी अंजुमन में हम

ऐ अंदलीब दावा-ए-बेहूदा पर कहीं
एक आध गुल का मुँह न मसल दें चमन में हम

आशिक़ हुए हैं पर्दा-नशीं पर बस इस लिए
रखते हैं सोज़-ए-इश्क़ निहाँ जान ओ तन में हम

ज़ालिम की सच मसल है कि रस्सी दराज़ है
मिसदाक़ उस का पाते हैं चर्ख़-ए-कुहन में हम

अन्क़ा का 'ऐश' नाम तो है गो निशाँ नहीं
याँ वो भी खो चुके हैं तलाश-ए-दहन में हम

- Aish Dehlvi
0 Likes

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aish Dehlvi

As you were reading Shayari by Aish Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Aish Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari