ai husn jab se raaz tira pa gaye hain hum | ऐ हुस्न जब से राज़ तिरा पा गए हैं हम - Ajmal Ajmali

ai husn jab se raaz tira pa gaye hain hum
hasti se apni aur qareeb aa gaye hain hum

yun bhi hua ki jaan ganwa di tire liye
yun bhi hua ki tujh se bhi katara gaye hain hum

raah-e-wafa mein aise maqaamaat bhi mile
apna sar-e-niyaaz bhi thukra gaye hain hum

yaad-shab-khair ik gul-e-shaadaab the kabhi
aisi khizaan padi hai ki kumhala gaye hain hum

subh-e-visaal thi to tabeeyat thi baagh baagh
shaam-e-firaq aayi to sanwala gaye hain hum

insaan teri fateh pe ab bhi yaqeen hai
go apni zindagi se bhi ghabra gaye hain hum

mahroomiyon ka baar-e-giraan dosh par liye
ai maut sun ki tere qareeb aa gaye hain hum

apne suboo mein talkhi-dauraan samet kar
ba-sad-khuloos nosh bhi farma gaye hain hum

taareekh-e-inkilaab-e-zamaana se pooch lo
jab jab sada mili sar-e-daar aa gaye hain hum

ajmal jab un ki bazm mein chhedi hai dil ki baat
apne to khair gair ko tadpa gaye hain hum

ऐ हुस्न जब से राज़ तिरा पा गए हैं हम
हस्ती से अपनी और क़रीब आ गए हैं हम

यूँ भी हुआ कि जान गँवा दी तिरे लिए
यूँ भी हुआ कि तुझ से भी कतरा गए हैं हम

राह-ए-वफ़ा में ऐसे मक़ामात भी मिले
अपना सर-ए-नियाज़ भी ठुकरा गए हैं हम

यादश-ब-ख़ैर इक गुल-ए-शादाब थे कभी
ऐसी ख़िज़ाँ पड़ी है कि कुम्हला गए हैं हम

सुब्ह-ए-विसाल थी तो तबीअत थी बाग़ बाग़
शाम-ए-फ़िराक़ आई तो सँवला गए हैं हम

इंसान तेरी फ़तह पे अब भी यक़ीन है
गो अपनी ज़िंदगी से भी घबरा गए हैं हम

महरूमियों का बार-ए-गिराँ दोश पर लिए
ऐ मौत सुन कि तेरे क़रीब आ गए हैं हम

अपने सुबू में तलख़ी-दौराँ समेट कर
बा-सद-ख़ुलूस नोश भी फ़रमा गए हैं हम

तारीख़-ए-इन्क़िलाब-ए-ज़माना से पूछ लो
जब जब सदा मिली सर-ए-दार आ गए हैं हम

'अजमल' जब उन की बज़्म में छेड़ी है दिल की बात
अपने तो ख़ैर ग़ैर को तड़पा गए हैं हम

- Ajmal Ajmali
0 Likes

Hadsa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajmal Ajmali

As you were reading Shayari by Ajmal Ajmali

Similar Writers

our suggestion based on Ajmal Ajmali

Similar Moods

As you were reading Hadsa Shayari Shayari