aazaar bahut lazzat-e-aazaar bahut hai | आज़ार बहुत लज़्ज़त-ए-आज़ार बहुत है - Ajmal Ajmali

aazaar bahut lazzat-e-aazaar bahut hai
dil dast-e-sitam-gar ka talabgaar bahut hai

iqaar ki manzil bhi zaroor aayegi ik din
is waqt to bas lazzat-e-inkaar bahut hai

yaaraan-e-safar koi dava dhundh ke laao
insaan mere daur ka beemaar bahut hai

haan dekhiyo irfaan-e-baghaawat na jhuls jaaye
manzar meri duniya ka sharar-baar bahut hai

hum ghar ki panahon se jo nikle to ye jaana
hangaama pas-e-saaya-e-deewaar bahut hai

qaateel ki inaayat ka maza aur hai warna
jaan lene ko ye saans ki talwaar bahut hai

kya log hain ye soch ke baithe hoon gharo mein
bas zulm se be-zaari ka izhaar bahut hai

haalaat-e-zamaana se larz jaate hain ajmal
yun hai ki zamaane se humein pyaar bahut hai

आज़ार बहुत लज़्ज़त-ए-आज़ार बहुत है
दिल दस्त-ए-सितम-गर का तलबगार बहुत है

इक़रार की मंज़िल भी ज़रूर आएगी इक दिन
इस वक़्त तो बस लज़्ज़त-ए-इंकार बहुत है

यारान-ए-सफ़र कोई दवा ढूँड के लाओ
इंसान मिरे दौर का बीमार बहुत है

हाँ देखियो इरफ़ान-ए-बग़ावत न झुलस जाए
मंज़र मिरी दुनिया का शरर-बार बहुत है

हम घर की पनाहों से जो निकले तो ये जाना
हंगामा पस-ए-साया-ए-दीवार बहुत है

क़ातिल की इनायत का मज़ा और है वर्ना
जाँ लेने को ये साँस की तलवार बहुत है

क्या लोग हैं ये सोच के बैठे हूँ घरों में
बस ज़ुल्म से बे-ज़ारी का इज़हार बहुत है

हालात-ए-ज़माना से लरज़ जाते हैं 'अजमल'
यूँ है कि ज़माने से हमें प्यार बहुत है

- Ajmal Ajmali
0 Likes

Masti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajmal Ajmali

As you were reading Shayari by Ajmal Ajmali

Similar Writers

our suggestion based on Ajmal Ajmali

Similar Moods

As you were reading Masti Shayari Shayari