tiri nazar bhi nahin harf-e-muddaa bhi nahin | तिरी नज़र भी नहीं हर्फ़-ए-मुद्दआ भी नहीं - Ajmal Ajmali

tiri nazar bhi nahin harf-e-muddaa bhi nahin
khuda-gawah mere paas kuch raha bhi nahin

hazaar manzil-e-gham se guzar chuke lekin
abhi junoon-e-mohabbat ki ibtida bhi nahin

gham-e-firaq ye shab kis tarah se guzregi
ki ab to aas ki mauhoom si ziya bhi nahin

na jaane kis liye ab bhi hai dil se badh ke aziz
siyaah-dil bhi nahin aur paarsa bhi nahin

jo sach kahoon to mohabbat-shiaar ajmal mein
hazaar aib sahi aadmi bura bhi nahin

तिरी नज़र भी नहीं हर्फ़-ए-मुद्दआ भी नहीं
ख़ुदा-गवाह मिरे पास कुछ रहा भी नहीं

हज़ार मंज़िल-ए-ग़म से गुज़र चुके लेकिन
अभी जुनून-ए-मोहब्बत की इब्तिदा भी नहीं

ग़म-ए-फ़िराक़ ये शब किस तरह से गुज़रेगी
कि अब तो आस की मौहूम सी ज़िया भी नहीं

न जाने किस लिए अब भी है दिल से बढ़ के अज़ीज़
सियाह-दिल भी नहीं और पारसा भी नहीं

जो सच कहूँ तो मोहब्बत-शिआर 'अजमल' में
हज़ार ऐब सही आदमी बुरा भी नहीं

- Ajmal Ajmali
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajmal Ajmali

As you were reading Shayari by Ajmal Ajmali

Similar Writers

our suggestion based on Ajmal Ajmali

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari