firaun-e-waqt koi bhi ho sar-kashi karo | फ़िरऔन-ए-वक़्त कोई भी हो सर-कशी करो - Ajmal Ajmali

firaun-e-waqt koi bhi ho sar-kashi karo
yaaraan-e-shahr meri tarah zindagi karo

amrit nahin naseeb to zehraab hi sahi
kuch to ilaaj-e-shiddat-e-tishna-labi karo

ye zulmat-e-tamaam musalsal nahin qubool
dil ka lahu bala se jale raushni karo

munh dekhi dosti se ab ukta gaya hai dil
yaaro karo khuloos se go dushmani karo

hum har-nafs khilaayenge apne lahu se phool
tum ehtimaam-e-daar-o-rasan har ghadi karo

har she'r aabgeena hai mauj-e-khayaal ka
lo kaam ehtiyaat se jab shaay'ri karo

kaliyaan khilaane aayega jhonka naseem ka
tum raah mein hazaar faseelen khadi karo

फ़िरऔन-ए-वक़्त कोई भी हो सर-कशी करो
यारान-ए-शहर मेरी तरह ज़िंदगी करो

अमृत नहीं नसीब तो ज़हराब ही सही
कुछ तो इलाज-ए-शिद्दत-ए-तिश्ना-लबी करो

ये ज़ुल्मत-ए-तमाम मुसलसल नहीं क़ुबूल
दिल का लहू बला से जले रौशनी करो

मुँह देखी दोस्ती से अब उकता गया है दिल
यारो करो ख़ुलूस से गो दुश्मनी करो

हम हर-नफ़स खिलाएँगे अपने लहू से फूल
तुम एहतिमाम-ए-दार-ओ-रसन हर घड़ी करो

हर शे'र आबगीना है मौज-ए-ख़याल का
लो काम एहतियात से जब शाइ'री करो

कलियाँ खिलाने आएगा झोंका नसीम का
तुम राह में हज़ार फ़सीलें खड़ी करो

- Ajmal Ajmali
0 Likes

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajmal Ajmali

As you were reading Shayari by Ajmal Ajmali

Similar Writers

our suggestion based on Ajmal Ajmali

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari