har ujaala nayi sehar to nahin | हर उजाला नई सहर तो नहीं - Ajmal Ajmali

har ujaala nayi sehar to nahin
raat ki umr raat-bhar to nahin

aadmi chand gaam badh na sake
zindagi itni mukhtasar to nahin

ik ujaala sa saath rehta hai
sochta hoon tiri nazar to nahin

ek hangaam hai biyaabaan mein
koi aamada-e-safar to nahin

waqt be-shak azeem hai lekin
mujh se tujh se azeem-tar to nahin

door kuch saaye se hain sehra mein
raah-e-gum-karda hum-safar to nahin

aap jo bhi kahein vo sach ajmal
aap ab itne mo'tabar to nahin

हर उजाला नई सहर तो नहीं
रात की उम्र रात-भर तो नहीं

आदमी चंद गाम बढ़ न सके
ज़िंदगी इतनी मुख़्तसर तो नहीं

इक उजाला सा साथ रहता है
सोचता हूँ तिरी नज़र तो नहीं

एक हंगाम है बयाबाँ में
कोई आमादा-ए-सफ़र तो नहीं

वक़्त बे-शक अज़ीम है लेकिन
मुझ से तुझ से अज़ीम-तर तो नहीं

दूर कुछ साए से हैं सहरा में
राह-ए-गुम-कर्दा हम-सफ़र तो नहीं

आप जो भी कहें वो सच 'अजमल'
आप अब इतने मो'तबर तो नहीं

- Ajmal Ajmali
0 Likes

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajmal Ajmali

As you were reading Shayari by Ajmal Ajmali

Similar Writers

our suggestion based on Ajmal Ajmali

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari