har ghadi rehta hai ab khadsha mujhe | हर घड़ी रहता है अब ख़दशा मुझे - Ajmal Ajmali

har ghadi rehta hai ab khadsha mujhe
pee na jaaye waqt ka dariya mujhe

go haqeeqat tha magar ai zindagi
khwaab sa tu ne sada dekha mujhe

jab bhi milta hoon wahi chehra liye
bad-dua deta hai aaina mujhe

chhod aaya hoon sulagti ret mein
jaane kya kehta ho naqsh-e-paa mujhe

us ke dil mein khud wafa na-paid thi
dosti ki bheek kya deta mujhe

doobti bujhti hui awaaz hoon
saath waalo ghaur se sunna mujhe

हर घड़ी रहता है अब ख़दशा मुझे
पी न जाए वक़्त का दरिया मुझे

गो हक़ीक़त था मगर ऐ ज़िंदगी
ख़्वाब सा तू ने सदा देखा मुझे

जब भी मिलता हूँ वही चेहरा लिए
बद-दुआ देता है आईना मुझे

छोड़ आया हूँ सुलगती रेत में
जाने क्या कहता हो नक़्श-ए-पा मुझे

उस के दिल में ख़ुद वफ़ा ना-पैद थी
दोस्ती की भीक क्या देता मुझे

डूबती बुझती हुई आवाज़ हूँ
साथ वालो ग़ौर से सुनना मुझे

- Ajmal Ajmali
0 Likes

Waqt Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajmal Ajmali

As you were reading Shayari by Ajmal Ajmali

Similar Writers

our suggestion based on Ajmal Ajmali

Similar Moods

As you were reading Waqt Shayari Shayari