waqt-e-safar qareeb hai bistar samet luun | वक़्त-ए-सफ़र क़रीब है बिस्तर समेट लूँ - Ajmal Ajmali

waqt-e-safar qareeb hai bistar samet luun
bikhra hua hayaat ka daftar samet luun

phir jaane hum milen na milen ik zara ruko
main dil ke aaine mein ye manzar samet luun

yaaron ne jo sulook kiya us ka kya gila
fenke hain doston ne jo patthar samet luun

kal jaane kaise hon ge kahaan honge ghar ke log
aankhon mein ek baar bhara ghar samet luun

taar-e-nazar bhi gham ki tamaazat se khushk hai
vo pyaas hai mile to samundar samet luun

ajmal bhadak rahi hai zamaane mein jitni aag
jee chahta hai seene ke andar samet luun

वक़्त-ए-सफ़र क़रीब है बिस्तर समेट लूँ
बिखरा हुआ हयात का दफ़्तर समेट लूँ

फिर जाने हम मिलें न मिलें इक ज़रा रुको
मैं दिल के आईने में ये मंज़र समेट लूँ

यारों ने जो सुलूक किया उस का क्या गिला
फेंके हैं दोस्तों ने जो पत्थर समेट लूँ

कल जाने कैसे हों गे कहाँ होंगे घर के लोग
आँखों में एक बार भरा घर समेट लूँ

तार-ए-नज़र भी ग़म की तमाज़त से ख़ुश्क है
वो प्यास है मिले तो समुंदर समेट लूँ

'अजमल' भड़क रही है ज़माने में जितनी आग
जी चाहता है सीने के अंदर समेट लूँ

- Ajmal Ajmali
0 Likes

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajmal Ajmali

As you were reading Shayari by Ajmal Ajmali

Similar Writers

our suggestion based on Ajmal Ajmali

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari