shehar shehar dhundh aaye dar-b-dar pukaar aaye | शहर शहर ढूँड आए दर-ब-दर पुकार आए - Ajmal Ajmali

shehar shehar dhundh aaye dar-b-dar pukaar aaye
seena-chaak nikle the aur dil-figaar aaye

hum ki the tahee-daaman dost aur kya karte
zindagi si dilkash shay tere gham mein haar aaye

tere dar se gham le kar jab gunaahgaar uthe
may-kadon ka kya kehna masjidein sanwaar aaye

lagzishon se waabasta laghzishein qayamat ki
raat kuch ajab dhun mein tere baada-khwaar aaye

dosto bas is lamha hum ko yaad kar lena
jab kabhi gulistaan mein mausam-e-bahaar aaye

शहर शहर ढूँड आए दर-ब-दर पुकार आए
सीना-चाक निकले थे और दिल-फ़िगार आए

हम कि थे तही-दामन दोस्त और क्या करते
ज़िंदगी सी दिलकश शय तेरे ग़म में हार आए

तेरे दर से ग़म ले कर जब गुनाहगार उठे
मय-कदों का क्या कहना मस्जिदें सँवार आए

लग़्ज़िशों से वाबस्ता लग़्ज़िशें क़यामत की
रात कुछ अजब धुन में तेरे बादा-ख़्वार आए

दोस्तो बस इस लम्हा हम को याद कर लेना
जब कभी गुलिस्ताँ में मौसम-ए-बहार आए

- Ajmal Ajmali
0 Likes

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajmal Ajmali

As you were reading Shayari by Ajmal Ajmali

Similar Writers

our suggestion based on Ajmal Ajmali

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari