do pal ke hain ye sab mah o akhtar na bhoolna | दो पल के हैं ये सब मह ओ अख़्तर न भूलना - Ajmal Ajmali

do pal ke hain ye sab mah o akhtar na bhoolna
suraj ghuroob hone ka manzar na bhoolna

kitni taveel kyun na ho baatil ki zindagi
har raat ka hai subh muqaddar na bhoolna

yaadon ke phool ghar se utha kar chale to ho
dekho inhen kisi jagah rakh kar na bhoolna

maa ne likha hai khat mein jahaan jaao khush raho
mujh ko bhale na yaad karo ghar na bhoolna

haq par agar chaloge to har aadhe waqt mein
tum ko panaah degi ye chadar na bhoolna

दो पल के हैं ये सब मह ओ अख़्तर न भूलना
सूरज ग़ुरूब होने का मंज़र न भूलना

कितनी तवील क्यूँ न हो बातिल की ज़िंदगी
हर रात का है सुब्ह मुक़द्दर न भूलना

यादों के फूल घर से उठा कर चले तो हो
देखो इन्हें किसी जगह रख कर न भूलना

माँ ने लिखा है ख़त में जहाँ जाओ ख़ुश रहो
मुझ को भले न याद करो घर न भूलना

हक़ पर अगर चलोगे तो हर आड़े वक़्त में
तुम को पनाह देगी ये चादर न भूलना

- Ajmal Ajmali
0 Likes

Manzil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajmal Ajmali

As you were reading Shayari by Ajmal Ajmali

Similar Writers

our suggestion based on Ajmal Ajmali

Similar Moods

As you were reading Manzil Shayari Shayari