yaad-e-firaq-e-yaar tira shukriya bahut | याद-ए-फ़िराक-ए-यार तिरा शुक्रिया बहुत - Ajmal Ajmali

yaad-e-firaq-e-yaar tira shukriya bahut
kal raat dil mein dard hamaare utha bahut

kal raat tere gham ne lagaaee thi phir sabeel
kal raat hum ne zahar-e-halaahal piya bahut

muddat ke baad phir se mulaqaat ho gai
hum ko udaas dekh ke roya kiya bahut

shaayad naseem tera badan choo ke aayi thi
apni sehar mein rang-e-qayaamat raha bahut

ajmal na aap sa bhi koi sakht-jaan mila
dekhen hain hum ne yun to sitam-aashna bahut

याद-ए-फ़िराक-ए-यार तिरा शुक्रिया बहुत
कल रात दिल में दर्द हमारे उठा बहुत

कल रात तेरे ग़म ने लगाई थी फिर सबील
कल रात हम ने ज़हर-ए-हलाहल पिया बहुत

मुद्दत के बाद फिर से मुलाक़ात हो गई
हम को उदास देख के रोया किया बहुत

शायद नसीम तेरा बदन छू के आई थी
अपनी सहर में रंग-ए-क़यामत रहा बहुत

'अजमल' न आप सा भी कोई सख़्त-जाँ मिला
देखें हैं हम ने यूँ तो सितम-आश्ना बहुत

- Ajmal Ajmali
0 Likes

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajmal Ajmali

As you were reading Shayari by Ajmal Ajmali

Similar Writers

our suggestion based on Ajmal Ajmali

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari