khud nazaaron pe nazaaron ko hasi aati hai
baagbaanon pe bahaaron ko hasi aati hai
ab ye kyun zikr-e-bahaaran pe chaman mein akshar
phool to phool hain khaaron ko hasi aati hai
mehr-o-ikhlaas ki duniya mein ye kya baat hui
aaj yaaron hi pe yaaron ko hasi aati hai
aisi be-jaan si hai mere hareefon ki hasi
jaise toofaan pe kinaaron ko hasi aati hai
kya kare aah vo bechaara musaafir jis par
aap ki raah-guzaaron ko hasi aati hai
koi jab chaand sitaaron se ho masroof-e-sukhan
kis qadar chaand sitaaron ko hasi aati hai
khair ho khair mashiyyat ke iraadon ki qasam
aaj taqdeer ke maaron ko hasi aati hai
haaye kis mod pe aaya hai ab afsaana-e-gham
mere afsaana-nigaaron ko hasi aati hai
ham hain mahroom-e-masarrat to koi baat nahin
ye bhi kya kam hai sahaaron ko hasi aati hai
gardish-e-waqt ne kya phir koi soorat badli
ya yoonhi waqt-guzaaron ko hasi aati hai
shaayad akhgar hi ki tauba ki khabar hai yaaro
aaj saaqi ke ishaaron ko hasi aati hai
ख़ुद नज़ारों पे नज़ारों को हँसी आती है
बाग़बानों पे बहारों को हँसी आती है
अब ये क्यूँ ज़िक्र-ए-बहाराँ पे चमन में अक्सर
फूल तो फूल हैं ख़ारों को हँसी आती है
मेहर-ओ-इख़्लास की दुनिया में ये क्या बात हुई
आज यारों ही पे यारों को हँसी आती है
ऐसी बे-जान सी है मेरे हरीफ़ों की हँसी
जैसे तूफ़ाँ पे किनारों को हँसी आती है
क्या करे आह वो बेचारा मुसाफ़िर जिस पर
आप की राह-गुज़ारों को हँसी आती है
कोई जब चाँद सितारों से हो मसरूफ़-ए-सुख़न
किस क़दर चाँद सितारों को हँसी आती है
ख़ैर हो ख़ैर मशिय्यत के इरादों की क़सम
आज तक़दीर के मारों को हँसी आती है
हाए किस मोड़ पे आया है अब अफ़्साना-ए-ग़म
मेरे अफ़्साना-निगारों को हँसी आती है
हम हैं महरूम-ए-मसर्रत तो कोई बात नहीं
ये भी क्या कम है सहारों को हँसी आती है
गर्दिश-ए-वक़्त ने क्या फिर कोई सूरत बदली
या यूँही वक़्त-गुज़ारों को हँसी आती है
शायद 'अख़्गर' ही की तौबा की ख़बर है यारो
आज साक़ी के इशारों को हँसी आती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi
our suggestion based on Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi
As you were reading Khushi Shayari Shayari