jeene ke agar chand sahaare bhi mile hain | जीने के अगर चंद सहारे भी मिले हैं

  - Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi

jeene ke agar chand sahaare bhi mile hain
to jaan se jaane ke ishaare bhi mile hain

har chand rah-e-ishq ke gham sakht hain lekin
is raah ke kuchh gham hamein pyaare bhi mile hain

kuchh apni wafaon se jo ummeed thi ham ko
kuchh un ki nigaahon ke sahaare bhi mile hain

ai raah-rav-e-raah-e-junoon bhool na jaana
is raah mein jee jaan se haare bhi mile hain

ilzaam-e-taghaful hamein tasleem hai lekin
badle hue andaaz tumhaare bhi mile hain

kya kijie tadbeer se haara nahin jaata
go raah mein taqdeer ke maare bhi mile hain

toofaan mein sabhi doob to jaate nahin akhgar
kuchh logon ko toofaan mein kinaare bhi mile hain

जीने के अगर चंद सहारे भी मिले हैं
तो जान से जाने के इशारे भी मिले हैं

हर चंद रह-ए-इश्क़ के ग़म सख़्त हैं लेकिन
इस राह के कुछ ग़म हमें प्यारे भी मिले हैं

कुछ अपनी वफ़ाओं से जो उम्मीद थी हम को
कुछ उन की निगाहों के सहारे भी मिले हैं

ऐ राह-रव-ए-राह-ए-जुनूँ भूल न जाना
इस राह में जी जान से हारे भी मिले हैं

इल्ज़ाम-ए-तग़ाफ़ुल हमें तस्लीम है लेकिन
बदले हुए अंदाज़ तुम्हारे भी मिले हैं

क्या कीजिए तदबीर से हारा नहीं जाता
गो राह में तक़दीर के मारे भी मिले हैं

तूफ़ाँ में सभी डूब तो जाते नहीं 'अख़्गर'
कुछ लोगों को तूफ़ाँ में किनारे भी मिले हैं

  - Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi

Kashti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi

As you were reading Shayari by Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi

Similar Moods

As you were reading Kashti Shayari Shayari