bedaad-e-taghaful se to badhta nahin gham aur | बेदाद-ए-तग़ाफ़ुल से तो बढ़ता नहीं ग़म और - Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi

bedaad-e-taghaful se to badhta nahin gham aur
mere liye seekho koi andaaz-e-sitam aur

maghoom to dono hain magar farq hai itna
un ko koi gham aur hai mujh ko koi gham aur

zaahir mein jafaon pe vo sharminda hain lekin
nazrein yahi kahti hain abhi honge sitam aur

har baat mein karte ho jo tafriq man-o-too
is ka to ye matlab hua tum aur ho hum aur

बेदाद-ए-तग़ाफ़ुल से तो बढ़ता नहीं ग़म और
मेरे लिए सीखो कोई अंदाज़-ए-सितम और

मग़्मूम तो दोनों हैं मगर फ़र्क़ है इतना
उन को कोई ग़म और है मुझ को कोई ग़म और

ज़ाहिर में जफ़ाओं पे वो शर्मिंदा हैं लेकिन
नज़रें यही कहती हैं अभी होंगे सितम और

हर बात में करते हो जो तफ़रीक़ मन-ओ-तू
इस का तो ये मतलब हुआ तुम और हो हम और

- Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi
0 Likes

Jafa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi

As you were reading Shayari by Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akhgar Mushtaq Raheem Aabadi

Similar Moods

As you were reading Jafa Shayari Shayari