main tire lutf-o-karam ka jab se ras peene laga | मैं तिरे लुत्फ़-ओ-करम का जब से रस पीने लगा - Akhtar Hashmi

main tire lutf-o-karam ka jab se ras peene laga
bas tabhi se khul ke apni zindagi jeene laga

ai bulandi chaahne waale bhatk mat aa udhar
mere shaanon ke sahaare arsh tak zeene laga

ho khushi koi bhi ja kar pad gai tere gale
gham ho koi bhi vo aa kar bas mere seene laga

hook kitni soz kitna tees kitni dil mein hai
ai mata-e-zakhm tu ab yun na takhmeene laga

jhuriyaan chehre ki akhtar ye dikhaayenge tujhe
umr jab dhalne lage ghar mein na aaine laga

मैं तिरे लुत्फ़-ओ-करम का जब से रस पीने लगा
बस तभी से खुल के अपनी ज़िंदगी जीने लगा

ऐ बुलंदी चाहने वाले भटक मत आ उधर
मेरे शानों के सहारे अर्श तक ज़ीने लगा

हो ख़ुशी कोई भी जा कर पड़ गई तेरे गले
ग़म हो कोई भी वो आ कर बस मिरे सीने लगा

हूक कितनी सोज़ कितना टीस कितनी दिल में है
ऐ मता-ए-ज़ख़्म तू अब यूँ न तख़मीने लगा

झुरियाँ चेहरे की 'अख़्तर' ये दिखाएँगे तुझे
उम्र जब ढलने लगे घर में न आईने लगा

- Akhtar Hashmi
0 Likes

Aam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Hashmi

As you were reading Shayari by Akhtar Hashmi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Hashmi

Similar Moods

As you were reading Aam Shayari Shayari