kaise samjhega sadaf ka vo guhar se rishta | कैसे समझेगा सदफ़ का वो गुहर से रिश्ता - Akhtar Hashmi

kaise samjhega sadaf ka vo guhar se rishta
jo samajh paaye na aankhon ka nazar se rishta

mo'tabar sar hi bana lo to bahut achha hai
kam hi rah paata hai dastaar ka sar se rishta

hai ghareebon ka ameeron se ta'alluq itna
jitna hota hai charaagon ka sehar se rishta

be-asar jab hain zabaanen to kiya kya jaaye
warna rakhti hain duaaein bhi asar se rishta

hum ne ruswaai ki us waqt se chadar odhi
jis ghadi tod diya tha tire dar se rishta

dil ka rishta bhi agar socho to kya rishta hai
nibh raha hai isee rishte ke asar se rishta

justuju us ki khuda jaane hai kis manzil tak
khatm hota nahin akhtar ka safar se rishta

कैसे समझेगा सदफ़ का वो गुहर से रिश्ता
जो समझ पाए न आँखों का नज़र से रिश्ता

मो'तबर सर ही बना लो तो बहुत अच्छा है
कम ही रह पाता है दस्तार का सर से रिश्ता

है ग़रीबों का अमीरों से तअ'ल्लुक़ इतना
जितना होता है चराग़ों का सहर से रिश्ता

बे-असर जब हैं ज़बानें तो किया क्या जाए
वर्ना रखती हैं दुआएँ भी असर से रिश्ता

हम ने रुस्वाई की उस वक़्त से चादर ओढ़ी
जिस घड़ी तोड़ दिया था तिरे दर से रिश्ता

दिल का रिश्ता भी अगर सोचो तो क्या रिश्ता है
निभ रहा है इसी रिश्ते के असर से रिश्ता

जुस्तुजू उस की ख़ुदा जाने है किस मंज़िल तक
ख़त्म होता नहीं 'अख़्तर' का सफ़र से रिश्ता

- Akhtar Hashmi
0 Likes

Ehsaas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Hashmi

As you were reading Shayari by Akhtar Hashmi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Hashmi

Similar Moods

As you were reading Ehsaas Shayari Shayari