zindagi se paas lekin husn ke qisse se door | ज़िंदगी से पास लेकिन हुस्न के क़िस्से से दूर - Akhtar Hashmi

zindagi se paas lekin husn ke qisse se door
hum ghazal rakhte hain apni zulf ke saaye se door

hum se jin ko unsiyat hai vo khinche aa jaayenge
un ko kya nazdeek laayein jo hain khud pehle se door

jaane kaise karb ubhre mere chehre par ki jo
vo nigaahen apni rakhte hain mere chehre se door

ek lamha pyaar ka jis ko mile vo surkh-roo
kyun mujhe rakha gaya phir ik isee lamhe se door

zabt karna kitna mushkil tha mujhe maaloom hai
zindagi ko phir bhi rakha main ne har fitne se door

zulm kar ke tu adaalat se agar bach bhi gaya
soch bhaagega kahaan tak aasmaan waale se door

aakhirsh ashkon ke chalte hi dua poori hui
tum ne akhtar jin ko rakha aaj tak apne se door

ज़िंदगी से पास लेकिन हुस्न के क़िस्से से दूर
हम ग़ज़ल रखते हैं अपनी ज़ुल्फ़ के साए से दूर

हम से जिन को उन्सियत है वो खिंचे आ जाएँगे
उन को क्या नज़दीक लाएँ जो हैं ख़ुद पहले से दूर

जाने कैसे कर्ब उभरे मेरे चेहरे पर कि जो
वो निगाहें अपनी रखते हैं मिरे चेहरे से दूर

एक लम्हा प्यार का जिस को मिले वो सुर्ख़-रू
क्यूँ मुझे रक्खा गया फिर इक इसी लम्हे से दूर

ज़ब्त करना कितना मुश्किल था मुझे मालूम है
ज़िंदगी को फिर भी रक्खा मैं ने हर फ़ित्ने से दूर

ज़ुल्म कर के तू अदालत से अगर बच भी गया
सोच भागेगा कहाँ तक आसमाँ वाले से दूर

आख़िरश अश्कों के चलते ही दुआ पूरी हुई
तुम ने अख़्तर जिन को रक्खा आज तक अपने से दूर

- Akhtar Hashmi
0 Likes

Birthday Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Hashmi

As you were reading Shayari by Akhtar Hashmi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Hashmi

Similar Moods

As you were reading Birthday Shayari Shayari