nazm khabron ko kiya aur na latife likkhe | नज़्म ख़बरों को किया और न लतीफ़े लिक्खे - Akhtar Hashmi

nazm khabron ko kiya aur na latife likkhe
main ne ashaar mein jeene ke saleeke likkhe

martabe ahl-e-sukhan ke tumhein tay karne hain
kis ne haq baat kahi kis ne qaside likkhe

sab ko tadbeer bhi karne ko wahi kehta hai
aur hain sab ke muqaddar bhi usi ke likkhe

shiddat-e-mehr se di us ke gazab ko tashbeeh
us ki rahmat ko agar fazl ke saaye likkhe

kuch zaroor un mein naseehat thi magar yaad nahin
jo parhe the vo buzurgon ke maqoole likkhe

zindagi tujh pe likhoonga na ziyaada ab kuch
jo bhi mazmoon tiri madh mein likkhe likkhe

likhta rehta hai wahi harf-e-taalluq akhtar
us se kah do ki ab is baat se aage likkhe

नज़्म ख़बरों को किया और न लतीफ़े लिक्खे
मैं ने अशआ'र में जीने के सलीक़े लिक्खे

मर्तबे अहल-ए-सुख़न के तुम्हें तय करने हैं
किस ने हक़ बात कही किस ने क़सीदे लिक्खे

सब को तदबीर भी करने को वही कहता है
और हैं सब के मुक़द्दर भी उसी के लिक्खे

शिद्दत-ए-मेहर से दी उस के ग़ज़ब को तश्बीह
उस की रहमत को अगर फ़ज़्ल के साए लिक्खे

कुछ ज़रूर उन में नसीहत थी मगर याद नहीं
जो पढ़े थे वो बुज़ुर्गों के मक़ूले लिक्खे

ज़िंदगी तुझ पे लिखूँगा न ज़ियादा अब कुछ
जो भी मज़मून तिरी मद्ह में लिक्खे लिक्खे

लिखता रहता है वही हर्फ़-ए-तअ'ल्लुक़ 'अख़्तर'
उस से कह दो कि अब इस बात से आगे लिक्खे

- Akhtar Hashmi
0 Likes

Child labour Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Hashmi

As you were reading Shayari by Akhtar Hashmi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Hashmi

Similar Moods

As you were reading Child labour Shayari Shayari