chaand taaron mein jee nahin lagta | चाँद तारों में जी नहीं लगता - Akhtar Madhupuri

chaand taaron mein jee nahin lagta
khush nazaaron mein jee nahin lagta

dil bujha hai kuch is tarah mera
ab bahaaron mein jee nahin lagta

nakhuda mujh ko doob jaane de
ab kinaaron mein jee nahin lagta

mutriba chhed ab na saaz-e-tarab
naghma-zaaron mein jee nahin lagta

dil bahalta hai dil-nigaaron mein
gham-gusaaron mein jee nahin lagta

ye haseen shaam ye haseen sehar
kohsaaron mein jee nahin lagta

kya karoon sair-e-aabshaar akhtar
aabshaaron mein jee nahin lagta

चाँद तारों में जी नहीं लगता
ख़ुश नज़ारों में जी नहीं लगता

दिल बुझा है कुछ इस तरह मेरा
अब बहारों में जी नहीं लगता

नाख़ुदा मुझ को डूब जाने दे
अब किनारों में जी नहीं लगता

मुतरिबा छेड़ अब न साज़-ए-तरब
नग़्मा-ज़ारों में जी नहीं लगता

दिल बहलता है दिल-निगारों में
ग़म-गुसारों में जी नहीं लगता

ये हसीं शाम ये हसीन सहर
कोहसारों में जी नहीं लगता

क्या करूँ सैर-ए-आबशार 'अख़्तर'
आबशारों में जी नहीं लगता

- Akhtar Madhupuri
0 Likes

Kashti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Madhupuri

As you were reading Shayari by Akhtar Madhupuri

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Madhupuri

Similar Moods

As you were reading Kashti Shayari Shayari