maail-e-lutf hai aamaada-e-be-daad bhi hai | माइल-ए-लुत्फ़ है आमादा-ए-बे-दाद भी है - Akhtar Muslimi

maail-e-lutf hai aamaada-e-be-daad bhi hai
vo saraapa-e-mohabbat sitam-iijaad bhi hai

shab-e-tanhaai bhi hai saath tiri yaad bhi hai
dil ka kya haal kahoon shaad bhi naashaad bhi hai

daulat-e-gham se har ik gosha hai is ka maamoor
dil ki duniya meri aabaad bhi barbaad bhi hai

be-sabab to nahin ehsaas khalish ka mujh ko
bhoolne waale tire dil mein meri yaad bhi hai

kyun na aasaan ho rah-e-ishq ki mere ham-raah
jazba-e-'qais bhi hai himmat-e-'farhaad bhi hai

jal gaya apna nasheeman magar afsos ye hai
phoonkne waalon mein ik bark-e-chaman-zaad bhi hai

mera vijdaan muharrak hai mere nagmon ka
tab-e-mauzoon meri paaband bhi azaad bhi hai

kya bataaun main tumhein kya hai nawaa-e-'akhtar
nagme ka naghma hai fariyaad ki fariyaad bhi hai

माइल-ए-लुत्फ़ है आमादा-ए-बे-दाद भी है
वो सरापा-ए-मोहब्बत सितम-ईजाद भी है

शब-ए-तन्हाई भी है साथ तिरी याद भी है
दिल का क्या हाल कहूँ शाद भी नाशाद भी है

दौलत-ए-ग़म से हर इक गोशा है इस का मामूर
दिल की दुनिया मिरी आबाद भी बर्बाद भी है

बे-सबब तो नहीं एहसास ख़लिश का मुझ को
भूलने वाले तिरे दिल में मिरी याद भी है

क्यूँ न आसाँ हो रह-ए-इश्क़ कि मेरे हम-राह
जज़्बा-ए-'क़ैस' भी है हिम्मत-ए-'फ़रहाद' भी है

जल गया अपना नशेमन मगर अफ़सोस ये है
फूँकने वालों में इक बर्क़-ए-चमन-ज़ाद भी है

मेरा विज्दान मुहर्रिक है मिरे नग़्मों का
तब्-ए-मौज़ूँ मिरी पाबंद भी आज़ाद भी है

क्या बताऊँ मैं तुम्हें क्या है नवा-ए-'अख़्तर'
नग़्मे का नग़्मा है फ़रियाद की फ़रियाद भी है

- Akhtar Muslimi
0 Likes

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Muslimi

As you were reading Shayari by Akhtar Muslimi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Muslimi

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari