mere vaaste jahaan mein koi dilkashi nahin hai | मिरे वास्ते जहाँ में कोई दिलकशी नहीं है - Akhtar Muslimi

mere vaaste jahaan mein koi dilkashi nahin hai
ki tire baghair jeena koi zindagi nahin hai

tiri zaat ke alaava mujhe aur chahiye kya
tu agar hai saath mere mujhe kuch kami nahin hai

vo nazar nazar nahin hai na ho jis mein aks tera
koi dil hai vo bhi jis mein gham-e-aashiqi nahin hai

koi vaasta nahin hai jise dard-e-deegraan se
vo hai aadmi ka paikar magar aadmi nahin hai

mere dosto na dekho mujhe chashm-e-khashmgeen se
ki raheen-e-baada-noshi meri be-khudi nahin hai

mere dil ke daagh tu hi zara aur lau badha de
shab-e-gham hai teera teera kahi raushni nahin hai

meri baat sun ke akhtar sooni an-suni na kar do
ye hadees-e-jaan-o-dil he niree shaay'ri nahin hai

मिरे वास्ते जहाँ में कोई दिलकशी नहीं है
कि तिरे बग़ैर जीना कोई ज़िंदगी नहीं है

तिरी ज़ात के अलावा मुझे और चाहिए क्या
तू अगर है साथ मेरे मुझे कुछ कमी नहीं है

वो नज़र नज़र नहीं है न हो जिस में अक्स तेरा
कोई दिल है वो भी जिस में ग़म-ए-आशिक़ी नहीं है

कोई वास्ता नहीं है जिसे दर्द-ए-दीगराँ से
वो है आदमी का पैकर मगर आदमी नहीं है

मिरे दोस्तो न देखो मुझे चश्म-ए-ख़शमगीं से
कि रहीन-ए-बादा-नोशी मिरी बे-ख़ुदी नहीं है

मिरे दिल के दाग़ तू ही ज़रा और लौ बढ़ा दे
शब-ए-ग़म है तीरा तीरा कहीं रौशनी नहीं है

मिरी बात सुन के 'अख़्तर' सुनी अन-सुनी न कर दो
ये हदीस-ए-जान-ओ-दिल हे निरी शाइ'री नहीं है

- Akhtar Muslimi
0 Likes

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Muslimi

As you were reading Shayari by Akhtar Muslimi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Muslimi

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari