aansuon ke toofaan mein bijliyaan dabii rakhna | आँसुओं के तूफ़ाँ में बिजलियाँ दबी रखना - Akhtar Muslimi

aansuon ke toofaan mein bijliyaan dabii rakhna
sard sard aahon mein garmiyaan dabii rakhna

kaifiyat gham-e-dil ki ho ayaan na chehre se
pardaa-e-tabassum mein talkhiyaan dabii rakhna

kaun sunne waala hai be-hiso_n ki duniya mein
apne gham ki seene mein dastaan dabii rakhna

kis qadar anokha hai sheva ahl-e-duniya ka
meethi meethi baaton mein talkhiyaan dabii rakhna

khoob hai tumhaara bhi ye kamaal-e-fan akhtar
saada saada sheron mein shokhiyaan dabii rakhna

आँसुओं के तूफ़ाँ में बिजलियाँ दबी रखना
सर्द सर्द आहों में गर्मियाँ दबी रखना

कैफ़ियत ग़म-ए-दिल की हो अयाँ न चेहरे से
पर्दा-ए-तबस्सुम में तल्ख़ियाँ दबी रखना

कौन सुनने वाला है बे-हिसों की दुनिया में
अपने ग़म की सीने में दास्ताँ दबी रखना

किस क़दर अनोखा है शेवा अहल-ए-दुनिया का
मीठी मीठी बातों में तल्ख़ियाँ दबी रखना

ख़ूब है तुम्हारा भी ये कमाल-ए-फ़न 'अख़्तर'
सादा सादा शेरों में शोख़ियाँ दबी रखना

- Akhtar Muslimi
0 Likes

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Muslimi

As you were reading Shayari by Akhtar Muslimi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Muslimi

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari