shikwa is ka to nahin hai jo karam chhod diya | शिकवा इस का तो नहीं है जो करम छोड़ दिया - Akhtar Muslimi

shikwa is ka to nahin hai jo karam chhod diya
hai sitam ye ki sitamgar ne sitam chhod diya

le gaya cheen koi sab sar-o-saamaan-e-hayaat
haan magar ek sulagta hua gham chhod diya

lag gai in ko bhi shaayad tire kooche ki hawa
may-kada rind ne zaahid ne haram chhod diya

haaye us rah-rav-e-barbaad ki manzil ai dost
jis ne ghabra ke tira naqsh-e-qadam chhod diya

शिकवा इस का तो नहीं है जो करम छोड़ दिया
है सितम ये कि सितमगर ने सितम छोड़ दिया

ले गया छीन कोई सब सर-ओ-सामान-ए-हयात
हाँ मगर एक सुलगता हुआ ग़म छोड़ दिया

लग गई इन को भी शायद तिरे कूचे की हवा
मय-कदा रिंद ने ज़ाहिद ने हरम छोड़ दिया

हाए उस रह-रव-ए-बर्बाद की मंज़िल ऐ दोस्त
जिस ने घबरा के तिरा नक़्श-ए-क़दम छोड़ दिया

- Akhtar Muslimi
0 Likes

Hawa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Muslimi

As you were reading Shayari by Akhtar Muslimi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Muslimi

Similar Moods

As you were reading Hawa Shayari Shayari