dariya nazar na aaye na sehra dikhaai de | दरिया नज़र न आए न सहरा दिखाई दे - Akhtar Muslimi

dariya nazar na aaye na sehra dikhaai de
josh-e-junoon ho jis ko use kya dikhaai de

main aa gaya kahaan ki ye hasrat nazar ko hai
ai kaash is jagah koi apna dikhaai de

khandaan-jabeen labon pe hasi pur-khuloos dil
daur-e-tarab mein koi to aisa dikhaai de

khwaahan hain vo ki saara zamaana ho un ke saath
auron ko chahte hain ki tanhaa dikhaai de

akhtar ko dekhte nahin achhi nazar se aap
phir bhi ye chahte hain ki achha dikhaai de

दरिया नज़र न आए न सहरा दिखाई दे
जोश-ए-जुनूँ हो जिस को उसे क्या दिखाई दे

मैं आ गया कहाँ कि ये हसरत नज़र को है
ऐ काश इस जगह कोई अपना दिखाई दे

ख़ंदाँ-जबीं लबों पे हँसी पुर-ख़ुलूस दिल
दौर-ए-तरब में कोई तो ऐसा दिखाई दे

ख़्वाहाँ हैं वो कि सारा ज़माना हो उन के साथ
औरों को चाहते हैं कि तन्हा दिखाई दे

'अख़्तर' को देखते नहीं अच्छी नज़र से आप
फिर भी ये चाहते हैं कि अच्छा दिखाई दे

- Akhtar Muslimi
0 Likes

Greed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Muslimi

As you were reading Shayari by Akhtar Muslimi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Muslimi

Similar Moods

As you were reading Greed Shayari Shayari