dil hi rah-e-talab mein na khona pada mujhe | दिल ही रह-ए-तलब में न खोना पड़ा मुझे - Akhtar Muslimi

dil hi rah-e-talab mein na khona pada mujhe
haath apni zindagi se bhi dhona pada mujhe

ik din mein hans pada tha kisi ke khayal mein
ta-umr itni baat pe rona pada mujhe

ik baar un ko paane ki dil mein thi aarzoo
sau baar apne aap ko khona pada mujhe

barbaad ho gaya hoon magar mutmain hai dil
sharminda-e-karam to na hona pada mujhe

dekhi gai na mujh se jo toofaan ki bebaasi
kashti ko apni aap dubona pada mujhe

jalwe kahaan kisi ke bisaat-e-nazar kahaan
zarre mein aftaab samona pada mujhe

akhtar junoon-e-ishq ke maaron ko dekh kar
ahl-e-khirad hanse hain to rona pada mujhe

दिल ही रह-ए-तलब में न खोना पड़ा मुझे
हाथ अपनी ज़िंदगी से भी धोना पड़ा मुझे

इक दिन में हँस पड़ा था किसी के ख़याल में
ता-उम्र इतनी बात पे रोना पड़ा मुझे

इक बार उन को पाने की दिल में थी आरज़ू
सौ बार अपने आप को खोना पड़ा मुझे

बर्बाद हो गया हूँ मगर मुतमइन है दिल
शर्मिंदा-ए-करम तो न होना पड़ा मुझे

देखी गई न मुझ से जो तूफ़ाँ की बेबसी
कश्ती को अपनी आप डुबोना पड़ा मुझे

जल्वे कहाँ किसी के बिसात-ए-नज़र कहाँ
ज़र्रे में आफ़्ताब समोना पड़ा मुझे

'अख़्तर' जुनून-ए-इश्क़ के मारों को देख कर
अहल-ए-ख़िरद हँसे हैं तो रोना पड़ा मुझे

- Akhtar Muslimi
0 Likes

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Muslimi

As you were reading Shayari by Akhtar Muslimi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Muslimi

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari