vo bhi kya din the kya zamaane the
roz ik khwaab dekh lete the
ab zameen bhi jagah nahin deti
ham kabhi aasmaan pe rahte the
aakhirsh khud tak aan pahunchen hain
jo tiri justuju mein nikle the
khwaab galiyon mein phir rahe the aur
log apne gharo mein soye the
ham kahi door the bahut hi door
aur tire aas-paas baithe the
वो भी क्या दिन थे क्या ज़माने थे
रोज़ इक ख़्वाब देख लेते थे
अब ज़मीं भी जगह नहीं देती
हम कभी आसमाँ पे रहते थे
आख़िरश ख़ुद तक आन पहुँचे हैं
जो तिरी जुस्तुजू में निकले थे
ख़्वाब गलियों में फिर रहे थे और
लोग अपने घरों में सोए थे
हम कहीं दूर थे बहुत ही दूर
और तिरे आस-पास बैठे थे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Razaa Saleemi
our suggestion based on Akhtar Razaa Saleemi
As you were reading Aasman Shayari Shayari