dil o nigaah pe taari rahe fusoon us ka | दिल ओ निगाह पे तारी रहे फ़ुसूँ उस का - Akhtar Razaa Saleemi

dil o nigaah pe taari rahe fusoon us ka
tumhaara ho ke bhi mumkin hai main rahoon us ka

zameen ki khaak to kab ki uda chuke hain ham
hamaari zad mein hai ab charkh-e-neel-goon us ka

tujhe khabar nahin is baat ki abhi shaayad
ki tera ho to gaya hoon magar main hoon us ka

ab us se qat-e-taalluq mein behtari hai meri
main apna rah nahin saka agar rahoon us ka

dil-e-tabah ki dhadkan bata rahi hai raza
yahin kahi pe hai vo sheher-pur-sukoon us ka

दिल ओ निगाह पे तारी रहे फ़ुसूँ उस का
तुम्हारा हो के भी मुमकिन है मैं रहूँ उस का

ज़मीं की ख़ाक तो कब की उड़ा चुके हैं हम
हमारी ज़द में है अब चर्ख़-ए-नील-गूँ उस का

तुझे ख़बर नहीं इस बात की अभी शायद
कि तेरा हो तो गया हूँ मगर मैं हूँ उस का

अब उस से क़त-ए-तअल्लुक़ में बेहतरी है मिरी
मैं अपना रह नहीं सकता अगर रहूँ उस का

दिल-ए-तबाह की धड़कन बता रही है 'रज़ा'
यहीं कहीं पे है वो शहर-पुर-सुकूँ उस का

- Akhtar Razaa Saleemi
0 Likes

Mashwara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Razaa Saleemi

As you were reading Shayari by Akhtar Razaa Saleemi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Razaa Saleemi

Similar Moods

As you were reading Mashwara Shayari Shayari