vo husn-e-sabz jo utara nahin hai daali par
farefta hai kisi phool chunne waali par
main hal chalaate hue jis ko socha karta tha
usi ki gandumee rangat hai baali baali par
ye log sair ko nikle hain so bahut khush hain
main dil-e-girifta hoon sabze ki paayemaali par
ik aur rang mila aa ke saath rangon mein
shua-e-mahr padi jab se teri baali par
main khul ke saans bhi leta nahin chaman mein raza
mubaada baar guzarta ho sabz daali par
वो हुस्न-ए-सब्ज़ जो उतरा नहीं है डाली पर
फ़रेफ़्ता है किसी फूल चुनने वाली पर
मैं हल चलाते हुए जिस को सोचा करता था
उसी की गंदुमी रंगत है बाली बाली पर
ये लोग सैर को निकले हैं सो बहुत ख़ुश हैं
मैं दिल-ए-गिरफ़्ता हूँ सब्ज़े की पाएमाली पर
इक और रंग मिला आ के सात रंगों में
शुआ-ए-महर पड़ी जब से तेरी बाली पर
मैं खुल के साँस भी लेता नहीं चमन में 'रज़ा'
मुबादा बार गुज़रता हो सब्ज़ डाली पर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Razaa Saleemi
our suggestion based on Akhtar Razaa Saleemi
As you were reading Musafir Shayari Shayari