bataayein kya ki kahaan par makaan hote the | बताएँ क्या कि कहाँ पर मकान होते थे - Akhtar Razaa Saleemi

bataayein kya ki kahaan par makaan hote the
wahan nahin hain jahaan par makaan hote the

suna gaya hai yahan shehar bas raha tha koi
kaha gaya hai yahan par makaan hote the

vo jis jagah se abhi uth raha hai gard-o-ghubaar
kabhi hamaare wahan par makaan hote the

har ek samt nazar aa rahe hain dher pe dher
har ek samt makaan par makaan hote the

thehar sake na raza mauj-e-tund ke aage
vo jin ke aab-e-ravaan par makaan hote the

बताएँ क्या कि कहाँ पर मकान होते थे
वहाँ नहीं हैं जहाँ पर मकान होते थे

सुना गया है यहाँ शहर बस रहा था कोई
कहा गया है यहाँ पर मकान होते थे

वो जिस जगह से अभी उठ रहा है गर्द-ओ-ग़ुबार
कभी हमारे वहाँ पर मकान होते थे

हर एक सम्त नज़र आ रहे हैं ढेर पे ढेर
हर एक सम्त मकाँ पर मकान होते थे

ठहर सके न 'रज़ा' मौज-ए-तुंद के आगे
वो जिन के आब-ए-रवाँ पर मकान होते थे

- Akhtar Razaa Saleemi
0 Likes

Ishaara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Razaa Saleemi

As you were reading Shayari by Akhtar Razaa Saleemi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Razaa Saleemi

Similar Moods

As you were reading Ishaara Shayari Shayari