andeshe mujhe nigal rahe hain
kyun dard hi phool-fal rahe hain
dekho meri aankh bujh rahi hai
dekho mere khwaab jal rahe hain
ik aag hamaari muntazir hai
ik aag se ham nikal rahe hain
jismoon se nikal rahe hain saaye
aur raushni ko nigal rahe hain
ye baat bhi likh le ai muarrrikh
malbe se qalam nikal rahe hain
अंदेशे मुझे निगल रहे हैं
क्यूँ दर्द ही फूल-फल रहे हैं
देखो मिरी आँख बुझ रही है
देखो मिरे ख़्वाब जल रहे हैं
इक आग हमारी मुंतज़िर है
इक आग से हम निकल रहे हैं
जिस्मों से निकल रहे हैं साए
और रौशनी को निगल रहे हैं
ये बात भी लिख ले ऐ मुअर्रिख़
मलबे से क़लम निकल रहे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Razaa Saleemi
our suggestion based on Akhtar Razaa Saleemi
As you were reading Fantasy Shayari Shayari