tera har raaz chhupaaye hue baitha hai koi | तेरा हर राज़ छुपाए हुए बैठा है कोई

  - Akhtar Siddiqui

tera har raaz chhupaaye hue baitha hai koi
khud ko deewaana banaaye hue baitha hai koi

saaqi-e-bazm ke makhsoos ishaaron ki qasam
jaam honton se lagaaye hue baitha hai koi

is numaish-gah-e-aalam mein kami hai ab tak
ashk aankhon mein chhupaaye hue baitha hai koi

shab ki devi ka sukoot aur hi kuchh kehta hai
phir bhi do shamaein jalaae hue baitha hai koi

meri ik aarzoo-e-deed ka ej'aaz na pooch
munh ko haathon se chhupaaye hue baitha hai koi

yaad bhi teri ik aazaar-e-musalsal hai magar
apne seene se lagaaye hue baitha hai koi

ham ko ma'aloom hai akhtar ki hamaari khaatir
ek aalam ko bhulaaye hue baitha hai koi

तेरा हर राज़ छुपाए हुए बैठा है कोई
ख़ुद को दीवाना बनाए हुए बैठा है कोई

साक़ी-ए-बज़्म के मख़्सूस इशारों की क़सम
जाम होंटों से लगाए हुए बैठा है कोई

इस नुमाइश-गह-ए-आलम में कमी है अब तक
अश्क आँखों में छुपाए हुए बैठा है कोई

शब की देवी का सुकूत और ही कुछ कहता है
फिर भी दो शमएँ जलाए हुए बैठा है कोई

मेरी इक आरज़ू-ए-दीद का ए'जाज़ न पूछ
मुँह को हाथों से छुपाए हुए बैठा है कोई

याद भी तेरी इक आज़ार-ए-मुसलसल है मगर
अपने सीने से लगाए हुए बैठा है कोई

हम को मा'लूम है 'अख़्तर' कि हमारी ख़ातिर
एक आलम को भुलाए हुए बैठा है कोई

  - Akhtar Siddiqui

Naqab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Siddiqui

As you were reading Shayari by Akhtar Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Naqab Shayari Shayari