vo kam-naseeb jo ahad-e-jafa mein rahte hain | वो कम-नसीब जो अहद-ए-जफ़ा में रहते हैं

  - Akhtar Ziai

vo kam-naseeb jo ahad-e-jafa mein rahte hain
ajeeb maariz-e-karb-o-bala mein rahte hain

numood-e-zauq o buloogh-e-hunar ka zikr hi kya
yahan ye log to aah-o-buka mein rahte hain

wida-e-khuld ke b'ad arsa-e-firaq mein hain
b-qaid-e-jism dayaar-e-fana mein rahte hain

vo subh o shaam meri rooh mein hain jalwa-numa
dil-e-figaar o alam-aashna mein rahte hain

hisaar-e-zaat mein mahboos ho ke ahl-e-hawas
fareb-e-haasil-e-be-muddaa mein rahte hain

bhula chuke hain zameen o zamaan ke sab qisse
sukhan-taraaz hain lekin khala mein rahte hain

ameer-e-shahr ki sohbat ke faiz se akhtar
janaab-e-sheikh ab unchi hawa mein rahte hain

वो कम-नसीब जो अहद-ए-जफ़ा में रहते हैं
अजीब मअरिज़-ए-कर्ब-ओ-बला में रहते हैं

नुमूद-ए-ज़ौक़ ओ बुलूग़-ए-हुनर का ज़िक्र ही क्या
यहाँ ये लोग तो आह-ओ-बुका में रहते हैं

विदा-ए-ख़ुल्द के ब'अद अर्सा-ए-फ़िराक़ में हैं
ब-क़ैद-ए-जिस्म दयार-ए-फ़ना में रहते हैं

वो सुब्ह ओ शाम मिरी रूह में हैं जल्वा-नुमा
दिल-ए-फ़िगार ओ अलम-आश्ना में रहते हैं

हिसार-ए-ज़ात में महबूस हो के अहल-ए-हवस
फ़रेब-ए-हासिल-ए-बे-मुद्दआ में रहते हैं

भुला चुके हैं ज़मीन ओ ज़माँ के सब क़िस्से
सुख़न-तराज़ हैं लेकिन ख़ला में रहते हैं

अमीर-ए-शहर की सोहबत के फ़ैज़ से 'अख़्तर'
जनाब-ए-शैख़ अब ऊँची हवा में रहते हैं

  - Akhtar Ziai

Tanhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ziai

As you were reading Shayari by Akhtar Ziai

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ziai

Similar Moods

As you were reading Tanhai Shayari Shayari