din dhala shab hui charaagh jale
bazm-e-rindaan mein phir ayaagh jale
dafa'atan aandhiyon ne rukh badla
na-gahaan aarzoo ke baagh jale
aas doobi to dil hua raushan
bujh gaya dil to dil ke daagh jale
jal-bujhe justuju ke parwaane
mustaqil manzil-e-suraag jale
gaah masroofiyat sulag utthe
gaah tanhaai o faraagh jale
aankhen karti hain shabnam-afshaani
jab tiri yaad mein dimaagh jale
un ka chehra tah-e-naqaab akhtar
jaise parde mein ik charaagh jale
दिन ढला शब हुई चराग़ जले
बज़्म-ए-रिंदाँ में फिर अयाग़ जले
दफ़अ'तन आँधियों ने रुख़ बदला
ना-गहाँ आरज़ू के बाग़ जले
आस डूबी तो दिल हुआ रौशन
बुझ गया दिल तो दिल के दाग़ जले
जल-बुझे जुस्तुजू के परवाने
मुस्तक़िल मंज़िल-ए-सुराग़ जले
गाह मसरूफ़ियत सुलग उट्ठे
गाह तन्हाई ओ फ़राग़ जले
आँखें करती हैं शबनम-अफ़्शानी
जब तिरी याद में दिमाग़ जले
उन का चेहरा तह-ए-नक़ाब 'अख़्तर'
जैसे पर्दे में इक चराग़ जले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Ziai
our suggestion based on Akhtar Ziai
As you were reading Revenge Shayari Shayari