barq se aashiyaan ka rishta hai | बर्क़ से आशियाँ का रिश्ता है

  - Akhtar Ziai

barq se aashiyaan ka rishta hai
arsh se khaak-daan ka rishta hai

mere afsaana-e-mohabbat se
aap ki dastaan ka rishta hai

aaj-kal ham junoon-pasandon se
har naye imtihaan ka rishta hai

ahl-e-gulshan ki khasta-haali se
saazish-e-baaghbaan ka rishta hai

aap mukhtar aur ham majboor
sochie to kahaan ka rishta hai

shaikh sahab ka hoor-o-ghilmaan se
sirf wahm-o-gumaan ka rishta hai

un ka akhtar se yun ta'alluq hai
jis tarah jism-o-jaan ka rishta hai

बर्क़ से आशियाँ का रिश्ता है
अर्श से ख़ाक-दाँ का रिश्ता है

मेरे अफ़साना-ए-मुहब्बत से
आप की दास्ताँ का रिश्ता है

आज-कल हम जुनूँ-पसंदों से
हर नए इम्तिहाँ का रिश्ता है

अहल-ए-गुलशन की ख़स्ता-हाली से
साज़िश-ए-बाग़बाँ का रिश्ता है

आप मुख़्तार और हम मजबूर
सोचिए तो कहाँ का रिश्ता है

शैख़ साहब का हूर-ओ-ग़िल्माँ से
सिर्फ़ वहम-ओ-गुमाँ का रिश्ता है

उन का 'अख़्तर' से यूँ तअ'ल्लुक़ है
जिस तरह जिस्म-ओ-जाँ का रिश्ता है

  - Akhtar Ziai

Bahan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ziai

As you were reading Shayari by Akhtar Ziai

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ziai

Similar Moods

As you were reading Bahan Shayari Shayari