burrish-e-tegh bhi hai phool ki mahkaar bhi hai | बुर्रिश-ए-तेग़ भी है फूल की महकार भी है

  - Akhtar Ziai

burrish-e-tegh bhi hai phool ki mahkaar bhi hai
vo khamoshi ki jo sad maujib-e-izhaar bhi hai

chhodije un ke shab-o-roz ki rudaad-e-zuboon
aap ko khaak-nasheenon se sarokaar bhi hai

maslahat mujh ko bhi malhooz hai ai ham-sukhano
par mere peshe-e-nazar waqt ki raftaar bhi hai

maut ke khauf se har saans ruki jaati hai
zindagi aaj koi tera khareedaar bhi hai

talkhi-e-haal ko hai ishrat-e-farda ka fareb
dil junoon-kosh hai aur aql tarhdaar bhi hai

mere mehboob mujhe waqf-e-taghaful na samajh
zeest ke laakh taqaze hain tera pyaar bhi hai

ahl-e-guftaar ki to bheed lagi hai akhtar
dekhna in mein koi saahib-e-kirdaar bhi hai

बुर्रिश-ए-तेग़ भी है फूल की महकार भी है
वो ख़मोशी कि जो सद मौजिब-ए-इज़हार भी है

छोड़िए उन के शब-ओ-रोज़ की रूदाद-ए-ज़ुबूँ
आप को ख़ाक-नशीनों से सरोकार भी है

मस्लहत मुझ को भी मलहूज़ है ऐ हम-सुख़नो
पर मिरे पेश-ए-नज़र वक़्त की रफ़्तार भी है

मौत के ख़ौफ़ से हर साँस रुकी जाती है
ज़िंदगी आज कोई तेरा ख़रीदार भी है

तल्ख़ी-ए-हाल को है इशरत-ए-फ़र्दा का फ़रेब
दिल जुनूँ-कोश है और अक़्ल तरहदार भी है

मेरे महबूब मुझे वक़्फ़-ए-तग़ाफ़ुल न समझ
ज़ीस्त के लाख तक़ाज़े हैं तेरा प्यार भी है

अहल-ए-गुफ़्तार की तो भीड़ लगी है 'अख़्तर'
देखना इन में कोई साहब-ए-किरदार भी है

  - Akhtar Ziai

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ziai

As you were reading Shayari by Akhtar Ziai

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ziai

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari