main samajhta tha haqeeqat aashna ho jaayega | मैं समझता था हक़ीक़त आश्ना हो जाएगा

  - Akhtar Ziai

main samajhta tha haqeeqat aashna ho jaayega
kya khabar thi meri baaton se khafa ho jaayega

rafta-rafta ibtilaa-e-gham shifaa ho jaayega
dard hi had se guzarne par dava ho jaayega

ham pe to pehle hi zaahir tha maal-e-bandagi
poojne jaaoge jis but ko khuda ho jaayega

tajarbe ki aanch se aakhir raqeeb-e-roo-siyah
un ki qurbat se hamaara ham-nava ho jaayega

aah jo seene se niklegi fugaan ban jaayegi
ashk jo aankhon se tapkega dua ban jaayega

dam-b-dam jo saath dene ka kiya karta tha ahad
kis ko tha ma'aloom ki ik din juda ho jaayega

chhodne waale sar-e-raahe hamein tere liye
zindagaani ka safar be-muddaa ho jaayega

ik nigaah-e-lutf vo pehli si dildaari ke saath
daan kar deeje ghareebon ka bhala ho jaayega

sahl-tar hoga najaat-e-khalq mein qarz-e-wafa
jaan bhi dega agar akhtar ada ho jaayega

मैं समझता था हक़ीक़त आश्ना हो जाएगा
क्या ख़बर थी मेरी बातों से ख़फ़ा हो जाएगा

रफ़्ता-रफ़्ता इब्तिला-ए-ग़म शिफ़ा हो जाएगा
दर्द ही हद से गुज़रने पर दवा हो जाएगा

हम पे तो पहले ही ज़ाहिर था मआल-ए-बंदगी
पूजने जाओगे जिस बुत को ख़ुदा हो जाएगा

तजरबे की आँच से आख़िर रक़ीब-ए-रू-सियह
उन की क़ुर्बत से हमारा हम-नवा हो जाएगा

आह जो सीने से निकलेगी फ़ुग़ाँ बन जाएगी
अश्क जो आँखों से टपकेगा दुआ बन जाएगा

दम-ब-दम जो साथ देने का किया करता था अहद
किस को था मा'लूम कि इक दिन जुदा हो जाएगा

छोड़ने वाले सर-ए-राहे हमें तेरे लिए
ज़िंदगानी का सफ़र बे-मुद्दआ हो जाएगा

इक निगाह-ए-लुत्फ़ वो पहली सी दिलदारी के साथ
दान कर दीजे ग़रीबों का भला हो जाएगा

सहल-तर होगा नजात-ए-ख़ल्क़ में क़र्ज़-ए-वफ़ा
जान भी देगा अगर 'अख़्तर' अदा हो जाएगा

  - Akhtar Ziai

Mashwara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ziai

As you were reading Shayari by Akhtar Ziai

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ziai

Similar Moods

As you were reading Mashwara Shayari Shayari