aankh dariya jigar lahu karna
kitna mushkil hai aarzoo karna
tazziya dil-nasheen khayaalon ka
hai ghazaalon ki justuju karna
tazkira in ki dil-nawaazi ka
aur phir mere roo-b-roo karna
bas yahi ek shaghl-e-tanhaai
rah gaya khud se guftugoo karna
kushtagaan-e-alam se seekha hai
dard-mandon ki aabroo karna
doston ke karam se chhod diya
ham ne andesha-e-aduu karna
bachna har nok-e-khaar se akhtar
zakham phoolon ke bhi rafu karna
आँख दरिया जिगर लहू करना
कितना मुश्किल है आरज़ू करना
तज्ज़िया दिल-नशीं ख़यालों का
है ग़ज़ालों की जुस्तुजू करना
तज़्किरा इन की दिल-नवाज़ी का
और फिर मेरे रू-ब-रू करना
बस यही एक शग़्ल-ए-तन्हाई
रह गया ख़ुद से गुफ़्तुगू करना
कुश्तगान-ए-अलम से सीखा है
दर्द-मंदों की आबरू करना
दोस्तों के करम से छोड़ दिया
हम ने अंदेशा-ए-अदू करना
बचना हर नोक-ए-ख़ार से 'अख़्तर'
ज़ख़्म फूलों के भी रफ़ू करना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Ziai
our suggestion based on Akhtar Ziai
As you were reading Phool Shayari Shayari