gair ki bad-gumaaniyon pe na ja
be-haqeeqat kahaaniyon pe na ja
kheench leta hai daaman-e-ehsaas
phool ki be-zabaaniyon pe na ja
us ki gharaat-gari ko dhyaan mein rakh
aql ki paasbaaniyon pe na ja
sabr ki dosti ko rakh malhooz
jabr ki hukmraaniyon pe na ja
khubs-e-baatin ke zahar se bhi bach
mahaj sheereen-bayaaniyon pe na ja
mustaqil zulm ka mudaava kar
aarzi mehrabaaniyon pe na ja
rooh ki bhi pukaar sun akhtar
jism ki kaamraaniyon pe na ja
ग़ैर की बद-गुमानियों पे न जा
बे-हक़ीक़त कहानियों पे न जा
खींच लेता है दामन-ए-एहसास
फूल की बे-ज़बानियों पे न जा
उस की ग़ारत-गरी को ध्यान में रख
अक़्ल की पासबानियों पे न जा
सब्र की दोस्ती को रख मलहूज़
जब्र की हुक्मरानियों पे न जा
ख़ुब्स-ए-बातिन के ज़हर से भी बच
महज़ शीरीं-बयानियों पे न जा
मुस्तक़िल ज़ुल्म का मुदावा कर
आरज़ी मेहरबानियों पे न जा
रूह की भी पुकार सुन 'अख़्तर'
जिस्म की कामरानियों पे न जा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Ziai
our suggestion based on Akhtar Ziai
As you were reading Dost Shayari Shayari