zabt-e-gham par zawaal kyun aaya | ज़ब्त-ए-ग़म पर ज़वाल क्यों आया - Aleena Itrat

zabt-e-gham par zawaal kyun aaya
shiddaton mein ubaal kyun aaya

gul se khilwaar kar rahi thi hawa
dil ko tera khayal kyun aaya

ishq to hijr ki alaamat hai
vasl ka phir sawaal kyun aaya

aisa badli ne kya kiya aakhir
suraj itna nidhaal kyun aaya

sooni aankhon mein kya mila tum ko
jheel jaisa khayal kyun aaya

umr bhar aaine pe rakhi nazar
aks mein phir ye baal kyun aaya

yoonhi paagal hawa ke choone se
tujh mein dariya uchaal kyun aaya

ishq tum ko nahin hua to kaho
shaay'ri mein kamaal kyun aaya

ज़ब्त-ए-ग़म पर ज़वाल क्यों आया
शिद्दतों में उबाल क्यों आया

गुल से खिलवाड़ कर रही थी हवा
दिल को तेरा ख़याल क्यों आया

इश्क़ तो हिज्र की अलामत है
वस्ल का फिर सवाल क्यों आया

ऐसा बदली ने क्या किया आख़िर
सूरज इतना निढाल क्यों आया

सूनी आँखों में क्या मिला तुम को
झील जैसा ख़याल क्यों आया

उम्र भर आईने पे रखी नज़र
अक्स में फिर ये बाल क्यों आया

यूँही पागल हवा के छूने से
तुझ में दरिया उछाल क्यों आया

इश्क़ तुम को नहीं हुआ तो कहो
शाइ'री में कमाल क्यों आया

- Aleena Itrat
0 Likes

Sooraj Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aleena Itrat

As you were reading Shayari by Aleena Itrat

Similar Writers

our suggestion based on Aleena Itrat

Similar Moods

As you were reading Sooraj Shayari Shayari