fasl-e-gul mein bhi wahi daur-e-khizaan hai ab ke | फ़स्ल-ए-गुल में भी वही दौर-ए-ख़िज़ाँ है अब के

  - Ali Abbas Ummeed

fasl-e-gul mein bhi wahi daur-e-khizaan hai ab ke
kaisa gham waqt ke chehre se ayaan hai ab ke

mishalein hain na dhuaan hai na saada-e-naqoos
kya khabar qaafila-e-dard kahaan hai ab ke

zindagi waqt ke dar tak jise le aayi thi
dhundla dhundla isee insaan ka nishaan hai ab ke

chaaragar rehm na kar is ki zaroorat kya hai
mera har zakham mere dil ki zabaan hai ab ke

laala-zaaro se to gul-rang lipt aati thi
dil ke veeraane mein har samt dhuaan hai ab ke

mujh pe vo saanehaa guzra hai aseeraan-e-qafas
apne saaye se bhi vehshat ka gumaan hai ab ke

sar-b-zaanu theen tamannaayein na jaane kab se
chashm-e-'ummeed bhi khoon-naba-fashaan hai ab ke

फ़स्ल-ए-गुल में भी वही दौर-ए-ख़िज़ाँ है अब के
कैसा ग़म वक़्त के चेहरे से अयाँ है अब के

मिशअलें हैं न धुआँ है न सदा-ए-नाक़ूस
क्या ख़बर क़ाफ़िला-ए-दर्द कहाँ है अब के

ज़िंदगी वक़्त के दर तक जिसे ले आई थी
धुँदला धुँदला इसी इंसाँ का निशाँ है अब के

चारागर रहम न कर इस की ज़रूरत क्या है
मेरा हर ज़ख़्म मिरे दिल की ज़बाँ है अब के

लाला-ज़ारों से तो गुल-रंग लिपट आती थी
दिल के वीराने में हर सम्त धुआँ है अब के

मुझ पे वो सानेहा गुज़रा है असीरान-ए-क़फ़स
अपने साए से भी वहशत का गुमाँ है अब के

सर-ब-ज़ानू थीं तमन्नाएँ न जाने कब से
चश्म-ए-'उम्मीद' भी ख़ूँ-नाबा-फ़शाँ है अब के

  - Ali Abbas Ummeed

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Abbas Ummeed

As you were reading Shayari by Ali Abbas Ummeed

Similar Writers

our suggestion based on Ali Abbas Ummeed

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari