varq hai mere sahife ka aasmaan kya hai | वरक़ है मेरे सहीफ़े का आसमाँ क्या है

  - Ali Abbas Ummeed

varq hai mere sahife ka aasmaan kya hai
raha ye chaand to shaayad tumhaara chehra hai

jo poochta tha meri umr us se kah dena
kisi ke pyaar ke mausam ka ek jhonka hai

simat gaya tha andheron ko dekh kar lekin
sehar ke saath mere raaste mein bikhra hai

jise bachaata raha tha main aabroo ki tarah
vo lamha aaj meri mutthiyon se fislaa hai

fazaa ki shaakh pe lafzon ke phool khilne do
jise sukoot samjhte ho zard patta hai

abhi to mere garebaan mein hai tiri khushboo
tire badan pe abhi mera naam likkha hai

har ek shakhs ko ummeed bas usi se hai
hamaare shehar mein vo ek hi to rusva hai

वरक़ है मेरे सहीफ़े का आसमाँ क्या है
रहा ये चाँद तो शायद तुम्हारा चेहरा है

जो पूछता था मिरी उम्र उस से कह देना
किसी के प्यार के मौसम का एक झोंका है

सिमट गया था अंधेरों को देख कर लेकिन
सहर के साथ मिरे रास्ते में बिखरा है

जिसे बचाता रहा था मैं आबरू की तरह
वो लम्हा आज मिरी मुट्ठियों से फिसला है

फ़ज़ा की शाख़ पे लफ़्ज़ों के फूल खिलने दो
जिसे सुकूत समझते हो ज़र्द पत्ता है

अभी तो मेरे गरेबाँ में है तिरी ख़ुशबू
तिरे बदन पे अभी मेरा नाम लिक्खा है

हर एक शख़्स को उम्मीद बस उसी से है
हमारे शहर में वो एक ही तो रुस्वा है

  - Ali Abbas Ummeed

Motivational Shayari in Hindi

Our suggestion based on your choice

More by Ali Abbas Ummeed

As you were reading Shayari by Ali Abbas Ummeed

Similar Writers

our suggestion based on Ali Abbas Ummeed

Similar Moods

As you were reading Motivational Shayari in Hindi Shayari